Monday, December 27, 2010


Sunday, December 19, 2010


geeta mai kha gya karm kero ,na kero phel ki chinta
par karmon ki paribhasha dega kon
yhan unko milta hai phal unko behtar
jo nithelle hai pap1 vyabhichari hain
jinka dharam hi durachar aur paap hai
...khate hai jo kale karmon ki sfed kmai
dur kheda dekhta rehtahai lachar bechara sa
sadkarm, purusharth aur aage itrata rehta hai
kismat ka dheni vo jo janta nahi paribhasha bhi kisi geeta ramayan ki.....
kyon kerte ho tera mera jab jeewan hi do pal ka tera,apna aur praya kya jab sab mai basta prebhu vo mera,na kar vair virodh ki batain kyon khud ko dukhon mai ghera,man ki ganga se tan ko dho le nikher jayga man bhi tera
 21 at 9:42pm

yhan kon kya hai kisne dkha ,kis ko kya kis ki khebar .bas khoya hai her koi apni hi dhun mai ho reha bekhber

22 at 9.32 pm

jindgi yun to her koi jiya kerte hain.per hum haqiqat ki nezer rekhte hain,bheed mai kho na jayen khin hum,bas apni adaon kaaaa aaser rekhte hain.hum ko malum nahi khan tak hai jana fir bhi manjil pe nezer rekhte hain.
na derte hain duniya se .na derte hain shaitan se ,
apni to seedhi sachi rah ,bus derte hain bhegwan se.
rahon se rahain benti rehi,hum nikle jab bhi than ke
kante mile ya
phool mile humne sweekara samman se.




 jeewan mai jo hai jaisa hai ,kafi nahi per kam bhi nahi
khoya hai jyada paya bas kuch hai ,ye soch ke ankhe nam bhi nahi
han khushiyan muthi bher hi sahi,per paye sare gam bhi nahi
mana ki rah mai kante hain ,per peeche hat jayan aise hum bhi nahi.
kisne jana tumko, khan pehunch koi paya
kisi ne ram ka naam diya aur kisi ne allah bulaya
sab ne joda swarth ka nata,kisne sath nibhaya
mangte rehe hum tugh se jyada,tune sab kuch lutaya
apne praye mai ulghe rehe hum,kya sukh tune paya
...mandir masjid rehe dhundte,man mai khoj na paya
naam aleg per ek ho tum.ye aaz semagh mai aaya
aao chelo khojne
kuch apne,kuch sapne
kuch praye ,aur kuch apne
khoje us peer ko ,jo hai humara data,
jane fir se kya hai akhir unse humara nata,
...jo hai sab mai sab us mai hai sab ko pyar lutata
jod ke un se man ko deko,sab tum ko mil jayga,
bhetak na aise ghat 2 tu, dbaya tughe kis boghne,
aao fir chele khojne...................
October 30 at 9:43pm  
aao fir se manan kren,
is dharti ko naman kren
kren awahan jad chetan ka,
irshya dwesh ka deman kren,
is dhra ke her kone ko bher de sadveyvhar se,
...ujdi ujdi se is dharti ko fir se milker cheman kren
sab papon ke mang akshma,irshya dwesh ka sheman kren,
aao fir se............


 dekha tumko

 tum ko akser
maine dekha
sapno mai kheyalo mai,
dhunda tughko utter mai aur
dhunda tughe sewalon mai,
...mandir khoja, masjid khoji
kashi kaba aur gurudwara
sara jhan bhetak ke dekha
bas khoja na maine
man ka dwara
sache man se jhank ke dekha,
man mai tha vo roop tumahra.
mai us mai or vo tha mugh mai
kya holi, kya diwali
khali hath jeb bhi khali
suni ankhe mang rehi kuch
suna angan bertan khali
bebas sa lachar admi
...din hai suna rat hai kali
kaise jode tinka 2 kaise apna need bnaye
kanto bheri in lambi rahon mai dil bhi kali
hath bhi khali
See More
November 1 at 9:32pm   Friends Only
bastiyan basane se log nahi bsa kerte
na socho dudh pilane se saanp nahi desa kerte
bnawati chehre hai sjawet hai jhuti dil ho bebas
...........................to aise hansa nahi kerte.
na jane kis dhun mai ho khoi,sapno ke mehalon
...ko kesoti pe nahi kesa kerte
jeendgi mai uunhi nahi milta koi ,khin to kisi se purana sa nata hai
koi apna hoker bhi ho jata baigana,koi praya hoker bhi sath nibhata hai
koi kho jata hai duniya ki bheed mai,koi bheed mai bhi pehcchan jata hai
kyon sochte ho kitna kisne sath diya ,yhan her koi bas aata aur jata hai
November 4 at 8:43pm  
nadi hun mai
dur tak faili hain
yun hi meri seema
vistar ko atur hain
mera neerav jal
...badha ko tod ufanti
si reftar liye mai dur chali
jaungi ,nadi hun mai ek
chenchal si bas behti hi jaungi



yadon ka jherokha hai
aur tumahri yad hai
kho ker bhi pa sakun bas
ab yahi fariyad hai
tere aana ki ahat sun ne ko
...bas dil ab betab hai
abhi bhi dil mai tere aane ka khewab hai
November 4 at 9:49pm  
kuch gujer gayi teri yad mai
kuch teri rusvai mai gujer jayegi
kuch ruth jayegi tugh se aur
kuch menane aayegi
yun hi umer meri kat jaygi bas
...miloge to thehri si nazer aayegi





fir teri yad
hai ,aur ye tanhai hai
fir khula sa angan hai man
aur teri rusvai hai
fir aatur hai pran ye
...fir anmena sa hai ye tan
fir sanso ne uljha liye
hai fir se tumse jane kyon tar
aab bas mai hun nijhra neerav si
hun tere jane ke bad.
See More
November 6 at 12:16pm  
mai hun vo diya
bhor tak jo jla
na kisi se sneh manga
na manga kisi se kona
bas jala ke lo apni bicha diya
...sepno ka bichona
andhkar se leda akele
riste riste her pal ko jiya
mai hun.....



mere sheher mai.......

kya hua sheher mai ager khamoshi hai
mere halat us ke halat se mail khate hain
chup hai vo bhi aaz meri treh us per
bhi dehshet ke badal nezer aate hain
aur kya kehun ki kis ne kis ko mara hai ,
...mugh ko her rishte mai bas apne hi nezer aate hain
 na vada hai koi na koi fariyad hai
jindgi ka lamha lamha bas ab teri yad hai
silsila ye ruh se juda fir teri khoj kyon
ker liya adhikar tujh per fir tan kyon udas hai
chindi chindi kyon sepne bikhre kaisa ye ahsasa hai
...anjana andekha hai tu fir bhi kyon pass hi
kyon bhetke se tan man ko bas teri hi aas hai
na dard hai
na ahsas hai
na koi apna hai
na koi pass hai
na dhedkta hai dil
...abhi kisi ke aane se
na ahet ki koi talash hai
jism hai ki jaise koi jinda lash hai
bhavon ka samunder bhi nahi umedta aab
bas mere muthi bher sapne hai aur aankh band hai
tum se mil ker
lga ki thermas jaise
koi tut gya
bikher gya kanch
chindi chindi
...ho gye ahsas
aur meri bhasha
ki tut si gayi deewar
ashankit sa man hai
alsaya sa tan hai
kho sa gya astitav
chuti her aasha
aab to bas her ghadi
ek hi ahsas hai
tuta hai fir bhi mera adhura
sapna pass hai
yad 1 samnder ki treh hai
jis mai lehrain hain suhani shankh si
sipiyon sa derd hai
moonge sa sukh hai
moti si mamta hai
...pani hai nirmalta ka
aur gehrai hai khin sambandh ki
aur umadta sa bhavon ka manjar hai
yad meri 1 samander hai
kash hoti gheta kali beras uthti khin biyaban mai
kash hoti phool mehak uthti khin ragistan mai
kash hoti khin koyal kuk uthti khin dur sunsan mai
kash hoti mai nadi to behti jati khun shusk se maidan mai
kash hoti mai hansi , to khi uthti neeras honto ki muskan mai
...kash hoti pepiha ga uthti khin asman mai
bas kash mai gujer gya jeewan jane kab hoga sach ye sapna
bas dekhna chahti hun bhegwan ko her insan ma
fir se ahet hai koi
khin jaise fir koi aane ko hai
dhedkta hai fir dil
us ke aane ke kheyal se
fir prano mai aturta hai
...us ke agman ki
fir aashaka se kampta hai man
her bar aane ka intzar hai
kerti hain ye ankhai
chonk uthti hai achanak
fir takti hun suna rasta
jagti si bhi rehti hai soyi
fir se............
kyon kerta hai tera mera ,jeewan hi bas shen ka tera
dur behut chelna hai tugh ko ,rah kathin ,hai gehan andhera
chepe 2 nezer hai tujh per kyon mane fir sab kuch mera
dhen hai maiil hath ka fir bhi kyon na tode moh ka ghera
mat pita kya sangi sathi bas denge kuch pal sath vo tera
...ker le fir avhan to uska lga vahi tu apna dera
kyon..
Harihar Padhi

Harihar Padhi Kahan hai ji?

December 6 at 6:18pm · · · See Friendship


    Poonam Dahiya

    Poonam Dahiya mat bandho
    mugh ko
    un bandhnon mai
    ki jin se
    bikhar jaun mai
    ...tut jaun
    ho jaun fir se
    khandit
    visarjit
    aur abla
    ki tod ke bandho
    ko
    behne do mughe
    uter lene do bhanwar mai
    chitan manthan mai
    fir na uljao
    na jodo fir
    adhura koi nata
    ki behut dur hai mugh ko jana
    aur atripat ichaon ka ker ke daman
    muthi bher sapno ko hai pana
    na kato pankh udne to do bas ek udan
    ki pana hai chuna hai mugh ko bhi asman

    vo masiha tha
    ya koi peer
    ya tha koi paigaber
    ya tha koi fakeer
    auron ke dukh ko
    ...jisne apna bnaya
    smanta ka avsar tha jisne dilaya
    daliton ko di jisne pehchan
    deker lacharon ko manavta ka adhikar
    pee ke garal apman ka dilaya
    humko samman
    sehta reha jo taumer achhut hone ka apman
    aaj unke parinirvan diwas par lena hai sankalp
    bikhre bante samaz ka krenge kaya kalp
    jai bheem
    roun kiske kandhe per rekh ker sir
    yhan her kandhe per 1 sir nazer aata hai
    sunaon kisko dard apna her ek ki aankh mai
    dard ka samander nazer aata hai
    har ahsas ko juban se kahe to kaise
    ...aab to khoya sa her manjer najer aata hai
    kis ko kahe ki kon hai apna
    aab to apna saya bhi dushman nazer aata hai
    aao khin dur chele is jhan se nikal ker
    aab to apno per bhi begano ka aser nazer aata hai
    jindgi haseen hai jindgi se pyar kar
    manzil teri dur sahi kadmo pe aitbar kar
    foonk foonk ker rekh kedam yhan dhokha
    freb aur luta pita veyvhar hai
    savdhani se chal jera
    ...ki taak mai kheda durachar hai
    is ghaneri rat mai bhi chand ka intzar kar
    ruthe apne hai to kya prayon se hi pyar ker
    bhul ja dard apna bant le auron ka gam
    apni drishti ko beda kar or jan ka uddhar kar
    bujho to pehali hun
    mano to sehali hun
    nibhao to rishta hun
    utro to gehrai hun
    jano to sachai hun
    ...jiyo to jindgi hun
    aur kero to bandgi hun
    mehsoos kero to ahsas hun
    chipao to gehra raz hun
    is bheed bhere bazar mai
    bas tanha khadi akeli hun
    bujho..
    ud ja panchi
    tlash le kahin aur apna need

    ki bedh rahi hai kankreet ke
    ...jungle ki bheed

    khan bnayga apna aashiyana
    ...
    khan ja ker chah chahayega

    kisko sunayega geet virah kekisko dard dikayga
    kon se jal mai krega prevas
    mukt paron se kon se
    akash mai tu lehrayega
    khan krega prenay nivedan
    ...kis se tu kilol krega
    kaise virah dershayega
    aab na koyal ki ku ku hai
    nai papihe ka virah geet hai
    dhan pretishtha mai uljhe jan 2
    ko kaise fir lubhayega
    koi nahi sidharth yhan jo
    tere nayay ko dega swar
    or tughko fir se bechayega........
    na koi sathi hoga na koi sehara
    mout ka safar to katna hoga akele
    milenge char kandhe vo bhi kuch dur tak
    kaise ktega fir to in palon ko
    pal bhar bhi jinse na ho pata tha duur
    ...khede aaz vo hi dere se hai tugh se
    kehte hai mout ke aage hain vo majbur
    is se pehle ke aa jaye bulava
    chor de ye jo hai ek chelava
    nahi to us lot mai bhi firega mara 2
    na.......
    mai nig geeton mai liye hun udgar
    bantna chahti hun har ahat ko apna pyar
    mai bna ke apne adarshon ko dhal
    dalva dene to aatur hun buraiyon ke hathiyar
    mai tod kar har bhed dharam jati dwash ka
    ...bantna chahti hun prem ,smanta ,sneh ke uphar
    fir ho ekjut smaj ka dhancha na koi rehe babes na koi lachar
    liye hun mai apne hathon mai sanskaron ka sar
    chelo mil ke ker de jan 2 ka uddhar......
    aao kero sangharsh fir se
    mila lo awaj fir mere suron se
    tod do sadiyon se chala ye bandhan
    jati ka dwesh ka insan se insan mai bhed ka
    fir se kadmon ko mila ke jra dikha do
    ...us semaj ko, ki lachar nahi hum
    na hain tyar sehne ko veyabhichar fir se
    aao ki sath hun mai dene ko tere sur ko awaz fir se.......
    han mai dalit hun
    mari awaz sadiyon se
    kabhi dbayi kabhi kuchali
    gayi ,kabhi huee ghayal mai
    hua man ahat sun sun kar
    ...kano mai sisa gholte vo
    apmanjanak apshebad
    tar tar kar di gayi kabhi mari asmita
    uthaya preshan jab smanta ka
    ghont kar gla armanon ka
    jla di maine sapno ki holi
    fir bhi khadi hun kandhe se kandha mila
    bina dar ke sunaungi milaungi fir se awaj han dalit hun..
    kisi ne sraha geet mera
    kisi ne sur ko sahi btaya
    kisi ne dekha bhavon ko mera
    kisi ne vicharon pe dheyan lgaya
    koi bola pyar bhera hai panktiyon mai
    ...to kisi ne anubhuti ko sahi btaya
    koi nahi semjha peeda mere panne pe likhi
    mere dard ki awaj
    na kisi ne khe do shebad na kisi ne hath bedhaya
    dard bher geeton mai apne aab bhi hai tlash
    ki koi semjhega marm mera koi mughe pedh payega
    kabhi gam chupa ankhon mai
    kabhi muskura ke chipaya dard
    kabhi kati tapas bheri dupehri
    kabhi jami yadon ki berf mai kati rat sard
    kabhi see liye hoth kuch kehne ko tha jo man mai
    ...kabhi milnatur bedhi bahon ko bandh liya'
    kabhi kuch aahat man ne pukara tum ko
    to rok kar apni chitkar bas rehne diya mon
    kabhi udna chaha to bher diya tufan in pankhon mai...
    kabhi dard....
    mere bad
    mere kedmon
    ke nishan
    reh jayenge
    or mere thehere se paun
    ...meri yad dilayenge
    ho jaoge thak ke chur jab
    tepne lgenge paun jab
    mere kadmon ki chaya mai
    sukun sneh paoge
    phool ko to khilte dekha hai behut
    kanton ko jra khilao to janun
    apno ko apnana khan hai mushkil
    kisi gair ko apna benoa to janun
    khushiyon ko bantne ko mil jate hai behut sare
    ...kisi ke gamon ko bant ke dikao to janun
    or mout aaye to marte hain un to behut sare
    jindgi se mout ko harao to manun
    rahon mai un to mil jate hai musafir
    kabhi manzil ko sath chelao to janun
    tukda dhup ka
    sardiyon ki thithran mai
    hun jhoka thanda
    umas bhari dupehri main
    boond hun nanhi si
    choone ko jo chali asman
    mai hun vo gheta umadti jo
    kabhi maidan ,parveton mai
    aatur hai jo pure kerne ko arman
    na koi aham hai na darp hai roop ka
    mai hun vo tukda.......4 hours ago clear
    tum se mil ker
    lga ki thermas jaise
    koi tut gya
    bikher gya kanch
    chindi chindi
    ...ho gye ahsas
    aur meri bhasha
    ki tut si gayi deewar
    ashankit sa man hai
    alsaya sa tan hai
    kho sa gya astitav
    chuti her aasha
    aab to bas her ghadi
    ek hi ahsas hai
    tuta hai fir bhi mera adhura
    sapna pass haitum se mil ker
    lga ki thermas jaise
    koi tut gya
    bikher gya kanch
    chindi chindi
    ...ho gye ahsas
    aur meri bhasha
    ki tut si gayi deewar
    ashankit sa man hai
    alsaya sa tan hai
    kho sa gya astitav
    chuti her aasha
    aab to bas her ghadi
    ek hi ahsas hai
    tuta hai fir bhi mera adhura
    sapna pass hai