Sunday, February 13, 2011

kisi ne kha ,sakar ho tum
kisi ne nirakar btaya
koi laya lakhon ka chadhawa
koi khali hath hi aaya
heere moti se sjaya kisi ne
to koi phoolon ke har hai laya
koi ghee ke deepak lata
koi bas dil ki lo hi jlata
kisi ne padhi namaz ,
to kisi ne shish nwaya
vo kahta hai ,bas ram hamara
or ye kahta bas aalaha hai pyara
ladte jhegadte rehe niranter
khoj na paye ,basa jo anter
jjisne bhi man ko kiya nirvikar
shudh man se kiya sweekar
usne usko sahej hi paya
kar liya roop sakar

badal barso
nav supt ankuron ko
fir se pran do
funko shankhnad apna
jad ko chetanta ka bhan do
...aasha se taktaki lgaye
tak rahe lachari se
thahare 2 se jeewan ko
fir thoda samman do
nanhe 2 shoshit ankur
taras rahe hain poshan ko
shoshan se mukti do
inko khul kar khilne ka man do
koi diwas aisa bhi manaya jaye
jismai insan ko smanta ka path padhaya jaye
dhul jaye jismai bhed sare,or prem ki rah par chalaya jaye
apna ho koi chahe ho praya ,galay sab ko lagaya jaye
dharam ho to bas manavta ka,or jati ho bas manav ki
or kisi ko kisi upnam se aise hi na bulaya jaye
na shoshit ho na shoshak ho,bas ek ho smaj ki paribhasha
bas khoye hue bhtkon ko sahi rah pe laya jaye
jo bhed kre insan mai or bante dard sitam aise har insan
ko bas suuli par tangaya jaye..............................

prem, ek bhawna hai
prem tyag hai
prem hai anubhuti
prem mai ek aag hai
prem hai sagar se gahra
...prem na jane koi pahra
prem urja hai prem hai sadbhawna
prem bhed se uper uth karta
bas bahujan hit ki kamna
prem bandhnon se uper
prem nishchil swachand hai
prem hai sohard or kavye ka koi chand hai
prem ishwar ki upasna ,dhyan hai vishwas hai
prem jisne paa liya ,huee puri uski aas hai

virah ko
kaise sahe
aatur pran
bahki si hawa
thehre to khan
......kis ko dikhaye
abhiman
kaise chupaye
aankhon ki peeda
kaise kre visarjan bhavon ka
or kaise bandhe shabon ki ladi mai
khud janun na murkh mai anjan
kaise kahun ki ab to tuta bandh saber ka
ki khada katghare,ab to mera samman