Friday, February 11, 2011

jab tak hai ek ankh mai ansun


jab tak dwesh hai ghrina hai


jati mai jab tak bta smaz hai


or nam hai man dukh bhari peeda hai


rota hai chehra ,or bhukh hai vyakulta hai


hai murjhaya sa man,or pane ki aturta hai


bolo mai muskaun kaise,geet khushi ke gaun kaise


vo tarse bas ek ko or khaun pet bher koi


bhukha hai jab tak vo bolo mai bhi khaun kaise


hath pasare vo lene ko ,or jholi bhar le koi


bolo najerandaj kar jaun kaise


vo unche mandir ko jaye,or ye seedhiyon par tarse


us ko fir kaise pujun mai,or inko bhulaun kaise


vo tarasta raha ek boond ko or koi amrit paye

raj badal dalo, kaj badal dalo
jo bandha ho rudhiyon se
vo smaj ,badal dalo
jo bhed se juda ho vo ,dharam hai kaisa
ho sake to dharam ki awaj badal dalo
...karta raha jo shoshan or arte rahe khud ka poshan
julm kiye kitne par uf na ki ab tak,ho sake to julm ka hisab badal dalo
vo suraj hi kya jo dar jaye andheron se, aise ugte suraj ka agaj badal dalo

aatur pran tum se hai
dil e nadan tum se hai
tamanna jwan tum se hai
armanon mai jan tum se hai
tum hi to ho lakshye mere
...sur ye tal tum se hai
jeewan ho tum, saans ho tum
man samman tum se hai
chandan tum ,to mai gandh mai teri
tum chando bhari kavita meri
geeton ki pahchan tum se hai..............
bahut hua shoshan
gairon ka poshan
jhuthan vo ,khana
or bojh uthana
vo nirvaster chonk mai
cheer haran,vo adhikaron ka apharan
vo dharam ki de duhai, jati ki pratadna
vo arakshan ke vyang ban ,vo chhu lene se mili yatna
hua bahut kahna ki yogye nahi tum,or harijan shabd ki ltadna
ab dekho maine bandh li muthi or rahin tum ko lalkar
samna karne ko har apman ka dekho ab mai hun taiyar
ki bahut hua tera kahna ,mera sun na,ab sun nad mera ,mera udghoshan........
mat pukaro
mujhe jati ,dharam se
insan hun ,bas jano mujhe karm se
khoon mera bhi tum jaisa hi laaal hai
fir kyon mai acchut raha janm se
mai bhi tum jaisa ,hain mere bhi roop tum sa
fir kyon gya pahchana mujhe sirf rang se
dharam ke thekedaron ne ,vanchit rakha mujh ko gyan se
fir kyon na mai khun unhe ki duub jao ab to sharm se
mai khadi dahleez par or vo unchai chad gya
mera huq mar vo balwan dekho ban gya
ki ab to hosh mai aa e adharmi,ya fir duub ja tu khin sharm se...
dekho mere bharat ne di kaisee mughe pahchan
chamde ki parakh khud karke, kahte mujhe chamar
ghrina ,dwesh, apman, pratadna,kya 2 na maine bhoga
soch ke ye bas chup raha mai,ki ant kabhi to hoga
par meri chupi,shantipriyta ko samjhe, ye meri kamjori
jitna gya jhelta mai, utne badhte gye atyachar
boya maine ,kata usne,mutthi bhar bas de kar mujhko
bharta raha bas apni tizori
pashu tulye samajh fir mujhko ,bar bar dutkara
kabhi achhut ,asprishye, dalit kabhi harijan kah pukara
kyon nahi hone dete mere karm se mera samman