Monday, February 21, 2011

kyon kahte ho
bhulun tumko
kyon na karun yad
tum ko hi to sopa jeewan
tumse kaisee fariyad?
tum ho aasha tum vishwas
tum hi to ho adhuri aas
fir kaisa jeewan bi tumahre
sambal ho ,ho,ahsas hamare
fir kaise bhulun ,kaise rokun
jab har pal har shan tum tumahri yad..






uth, srijan kar
vinash ke tam ko
badal dal kar de,path alokit
kar sanhar,mrit andh rudhiyon ka
kar dhanur tankar,kar fir vajer si hunkar
or ast vyast is dhara ka fir se nirman kar
tute astron ko jod fir ,arjun se anuragi man ko
fir se bana le karm sheel,or utter ja jiwan ran mai
vijay ko tu athhhas kar ,mrit hue smaj mai fir chetna ka agaj kar
gyan ke alok se bhar de tu har path jo nirjan........uth kar srijan...
eeraj nayan khoye se hain
kuch alsaye soye se hain
aturta hai,katarta hai
baras jane ki ,vyakulta hai
anmane se anjane se" ansoon"in mai boye se hain
kon jane kaisee hai trishna
jane kon si aasha hai
nayan hai bas kuch adheer khule se
kuch hanste kuch roye se hain...
na dar andheron se, ye pal bhi beet jayega
ugta hua suraj ,khud chal ke pass ayega
rakh honsla ,ki har ke aage hi jeet hai
girna ,aur fir sambhlna duniya ki reet hai
muthiyon ko jra band kar,badh do kadam aage
tere kadmon mai khuda khud hi sajde ko aayega
jo bhul chuke tujhko, unhe yad kya karna
tu chal to sahi karvan banta hi jayega