Monday, February 21, 2011

eeraj nayan khoye se hain
kuch alsaye soye se hain
aturta hai,katarta hai
baras jane ki ,vyakulta hai
anmane se anjane se" ansoon"in mai boye se hain
kon jane kaisee hai trishna
jane kon si aasha hai
nayan hai bas kuch adheer khule se
kuch hanste kuch roye se hain...
na dar andheron se, ye pal bhi beet jayega
ugta hua suraj ,khud chal ke pass ayega
rakh honsla ,ki har ke aage hi jeet hai
girna ,aur fir sambhlna duniya ki reet hai
muthiyon ko jra band kar,badh do kadam aage
tere kadmon mai khuda khud hi sajde ko aayega
jo bhul chuke tujhko, unhe yad kya karna
tu chal to sahi karvan banta hi jayega

Saturday, February 19, 2011

bhrasht hai vaybhichari hain
kale dhan ki karte chor bazari hain
loot liya dhan or khoon hamara
bharat maa ki jai ka lgate hai nara
or karte bhakshan ka bantwara
kitne ghotalon ko kar ke, bante bebas anjan
loot mai hissa pate itna, sagar mai pani hai jitna
khoon chuus ka lacharon ka bharte rahe tijori
or tyag sab lah sharam ko karte seena jori
or khan kya sab ke sab lampat hai durachari hai.......




gujarte hue lamhon ne pucha
gujre hue lamhon se
ki kaise saha ,dard tumne,
kisko jakhm dikhaya,waqt ke nasur ko kaise tha dbaya
hame to apna dard btaye jisko nahi ..abhi tak mil paya
khud hi dhoya ghavon ko or khud hi hai sahlaya
muskura ke lamhon ne kara diya abhas
ki bant diya khud ko auron mai ,auron ka dard apnaya
apna kash bhul gye or auron ko path padhaya
dekha auron ka dard to apna kast adna sa nazer aaya



har pal 
har shan 
tumahri yad
tumahre chale jane ke bad
suna ghar suna angan
suna chand suni hai bhor
bol papihe or koyal ka lagta hai bas mujhko shor
shushk huee ankhain ro ro kar, khushk hua man tha jo vibhor
unghti si hai nidra dekho ,kati ankhon mai hi rat
bhor huee kab kyon or kaise nahi hua mujhko abhas
aab to mai hun or aks tumahra or hai bheeni bheeni yad...

about an hour ago ·


Friday, February 18, 2011

kuch yun jindgi ko bitaya hamne
kabhi ruth kar unse ,staya hamne
kah na paye kabhi vo dil ki bat
or kabhi haal apna na dikhaya hamne
vo chal diye, palat ke bhi na dekha
or sara aalam intzar mai 

ganwaya hamne  




chakervyuh hai
dharam ka
tod sake to tod
bikhre is smaj ko
insaniyat se jod
sadiyon se peedit
shoshit ,jan jan
ki awaz ko inqlab ki traf mod
ki hua bahut ab to zulm
sitam ki kadiyan tod ke
akrosh ki ladiyan jod
muthiyan bandh bhi le tu ab
or adhikar ki ladai mai dod sake to do





bapu ke 3 bandron ka kiya dekho kya haal
bura karne vala hi dekho paa raha samman
or bura sunne ko aatur bas hai man or praan
bure ko bura kahta jo bas pata vo apman
pata vo apman suno ye bat hamari
sach ab darta sachai se jhuth ka palda bhari
vo aaye khil uthi
dhara,khul gaye ganthe kaliyon ki
mahki hawa,itraya badal
taru bhi jhoome, bicha di palkain
taron ne chitka ke chandni
...bhor ne bhi faila diya chanchal dhoop ka anchal
itra ke chali aayi milne tum ko sanjh,
khol ghunghat badlon ka ghata bhi muskayi
sur se sur mila nadi ki lahrain bhi kuch gaye
vo jab aaye........
bahut hua ruthna manana
vo rula ke mujhe ansoon de jana
vo pal bhar mai tod dena umer bhar ka rishta
vo fir bhi intzar mai pahron smay bitana
vo mera jazbaton ko rok na pana
...or tumahra nam ankhon ko dekh ,vo khilkhilana
thehre se kadmon ko badhana na itna aage
ki mushkil na ho jaye kahin lot kar aana





2nd
vo duur humse jate chale gye
ham bhi hasraton ko badhate chale gya
ham ruthe to bhi na manana na aaya unko
or ham palkon ko yun hi bhigote chale gaye
socha ke chal diye to rok lenge vo aakar
or vo jid mai kadmon ko badhate chale gaye 





3rd
usne to diya bahut
par anchal mai hi na smaya
jo paya tha maine khwabon mai
use pal bhar mai hi ganwaya
usne to badha diya bas dene ko hath
mari hi muthi mai kuch sma na paya



sara akash
sari dharti
tumahri
or mera hissa
muthi bhar bhi nahi
dharam tumahra
karm tumahra
or mera hissa kuch bhi nahi
sparsh tumahra ahsas tumahra
gyan tumahra maan tumahra
or bas ye apman hamara
rang mai roop mai or akar mai
koi bhed nahi ,fir bhi abhimani tum
or swabhiman mai mera hissa kuch bhi nahi

mere shehar mai koi sota nahi hai
jami barf si hai ansun,par rota nahi hai
dard zakhmon ka hai ,par dikhaye kisko
yahan gair ke liye ankhon ko koi bhigota nahi hai
hai kam nahi kuch karne, ko fir bhi dodte hain
rishton ki jebon ko khud hi tatolte hain
waqt nahi fir bhi waqt bitaye nahi bite
fursat mai koi thahaka lagata yehan nahi hai
or bheed hain fir bhi tlashtain hai koi apna
apno ki fasal ab ye shehar bota nahi hai