Sunday, February 6, 2011

mujhko e khuda bas thoda


mujhko e khuda bas thoda
sa man do,ban skun insan mai bhi
bas itna sa samman do
kar na paun mai gar bhela kisi ka
to ho na bura bhi kisi ka ,itna bas mujhe gyan de
...na de skun gar sukh ke do pal kisi ko
to dukh ka karan bhi mai na bnun mai
kam aa skun mai bhi kisi ke bas yahi vardan de
ghrina aur dwesh se duur hi mujhko tun rakhna
bas yahi icha hai mari thoda sa apna dhayan do.......

ansson hain kuch ankhon mai
aur kuch khone ka ahsaas bhi hai
yad hai mujhko tari har bat
aur tere sath ka abhas bhi hai
na jane fir kyon bheegi palkain
...kyon utra sa chehra hai ye
janta hai man ye mera duur hokar bhi
tu pass hi hai.....

dhal gya suraj de kar nanhe diye ko ye jimmedari
chala ab mai to ghar apne ab hai tumahri bari
roshan kar sko to kar dena har soona angan
ki jisko naseeb na ho saki roshni hamari
nanha diya bhi mukaya ho kar predipt
...lga kahne na socho, nibhaunga akele
krunga alokit mai tab tak har path ko
ki bujh na jaye jab tak lo ye humari

yug badlo aur
badal dalo vo itihas
ki jismai ho yantrana
or dilaye jo bas sitam ki yad
badal dalo mrit rudhiyon ko
...aur banta sa dwesh mai adharmi samaj
kro parivartan satta ka or do sab ko
smanta ka adhikar ,ki jee ske sir utha kar
dalo badal jad ko kar do fir chetan
or kar do har sadharan ko kuch khas
ki ho na kabhi kisi ko chhote hone ka ahsaas
kaisa gantanter
kaisa loktanter
bikhra hai har insan
aasfal hua har tanter
lachari hai ,bakari hai
desh ko to luut chuke hum
ab vishw ki tyari hai
ghut ghut kar jee rehain hai vo
jo hain desh ki sahi pahchan
or naitikta ka path padhate
raz kar rahe kitne haiwan
ghotalon par ghotalai hain
or lachar sa hua hai nyay
nayaydheesh ban baithe hain
vo karte aaye bas anyay
bhashan mai mahir hain sare
karte desh prem ki batain
or khokhla kar ke desh ko
khud hi kartain bheetaraghatain
na hai koi deshbhakt ,bas baton
ka or dhokhe ka mool manter
kaisa hai...
rach di thi
hey valmiki rachna pahli
kah kar ma nishad
dekh vadh kronch ka
aur aaj fir kyon nahi
paseejta man tera
dekh sakshat narsanhar
khan gayi akulta tari
or vyakulta gayi ,khan gye
vo bhav tere khan adhherta gayi
swar tere mon kyon hain
bhav tere gon kyon hain
kyon nahi abhibht tun
kyon bna avdhut tun
kar prakat apna vidroh
ma nishad kah ke fir
mook ho chuke swaron ko
fir se chhand ki awaz de
ki dikha de is smaj ko
us ka jhuth or parvanchna
rach fir se .......

aao lekar chelain
kuch sapne
kuch yadain jo hon
kuch sunehre
kuch dhundle
...kuch apne
kuch praye or fir
aao milkar rachain
ek aur nya sa
sampuran sansar
ki jhan na ho diwarain
jati samardayon ki
na makkari ho ankhon mai
na farebi sa ho vyvhar
na cheene koi roti kisi ki
na auron ka huq koi mare
na koi hanse dard par kisi ke
ho buland sabhi ke honsain