gujer gaya
1 aur pal
tere intzar mai
ki aa gaya patjhed
khjte 2 tujh ko bahar mai
...kaise khun ki khoya kya
aur kya hai paya
khoja tujh ko haqiqat mai
aur khwabon mai paya
aab to bhor bhi trasti hai
karne ko tera didar
ki fir se sooni hai aankhain
suna hua din gaya fir se dhal...........
2nd
jiyo zindgi kuch is andaz se
ki har bat misal ban jaye
gujar dain in pelon ko aise
ki aane wale lamhain bhi bemisal ban jayain
hon gam bhi to jeena rakhain hum yun jari
...ki mar bhi jayain to mot bhi kamal ban jayae
na ho kar baith nirash mushkilon mai
chal uth ke kar hunkar fir se
tod de avishwas aur nirasha
ki tera har krishma bas itihas ban jayeee
4th aadmi ek
aur annant
hai ichain
aur assemit
hai sukh ki abhilasha
...hath hain do
par dekar mutthi bhar
bhar lena chahta hai jholi
aankhain do hain par
dekh lena chahta
hai lakhhon rang birange sapne
aur apne do pairon se
chahta hai nap lena
puri dharti ,asman
trishnaon mai uljha
bhul jata hai
ki seemit hai zindgi ke pal
or kya kho ke kya paa raha hai dekh.....aadmi ek..............
kaste hain smajikta ki kesoti par dekhte hain tar 2 hoti asmita ka nezara aur thok kar peeth mardangi ki dete hain duhai ved puran ki aur har bar khadi kar dete hain kitne hi ram khadi sita ke samne fir vahi preeksha ki deewar aur khada dekhta rahta hai ye
5th kiska sath
kaisa sahara
har koi nazar
aata hai
lachar bebas
...besahara
rishta khoon
ka ho gya pani
sath dene ka jinka tha vada
sat janmon tak
vahi chend lmhon
tak hote hain sath
nari ki bebasi ka
udate mazak cont.....
sanghthan
banta hai
1 nahi do nahi
hezaron hathon se
fir kyon pnepta hai
...muthi bhar hathon mai
hoti hai is ki dor
jindgi ki dod mai
itna na bedh jana
ki bhul jao lot kar
fir vapis bhi hai aana
sikkon ki khanak ho
...to band kar lena
apne kano ko
ki khin kar de
na tum ko behra
bda zalim hai ye zmana
sidhanton ki ldai hai
ledna hoga akele
bas manzil ko dekh
kadamon ko bedhana
andaz kuch yun badla humne apna
vo semjhe ki khin pyar hua to nahi
is kder ho gye bekhaber hum aise
ki jaise khuli aankhon se dekha ho koi sapna
kyon ho jate hain vahi is ke sirmor
jo jante nahi paribhasha ghethan judav ki
jo bandhna nahi bas jante hain todna
aur karte hain kuch aur kahte hain jo kuch aurrrrr..........
yun duub kar tere pyar
mai dekha to paya
ki khoya tha jo aab tak
mil gya vo mujhe apna saya
chupa ke dil mai rekha tha jo aaks tera
...jhanka jo jra aankhon mai nazer tuu hi aaya
puchta hai aab to har koi dekho humse
rehta hai tera chehre par noor ye kiska
ye kiska rang se roshan hai kiski ye chaya.......
vo bat kya krun jis mai tumahra jikar na ho
ki bheed mai khede ho tum aur humari nazer na ho
yun to nikalta hai chand dekho roj hi
par ye kya chandni mai bhi humara jikar na ho
yun to bahut dekhe hain din humne bhi suhane
...par tum ndard ho ki jismai aisa koi majar na ho
yun to chal diye ki hum tay karna tha lamba rasta
par tumahra sath na ho aisa koi safar na ho
ho jane do bhor sunahri
mit jane do tmas ka pehra
bandh lene do nayi usha ko
rasmiyon ka satrangi sehra
sath chelange sang ravi ke
...faila denge apna ujiyara
ghar 2 ko kar denge alokit
hoga jhan bhi gehan andhiyara
hone na denge aast kabhi hum
umeedon ki ye bhor sunahri
aao mil kar sath chelain fir
us purab ki aur jhan karti hogi
humari pretikksha 1 sunahri bhor
No comments:
Post a Comment