ranzish kuch is treh tum dikhate ho
khafa hote hain hum aur ruth tum jate ho
jtate ho pyar bhi abhiman se
or tukdon mai pyar jtate ho
bas dete ho anubhuti dard bhari
...aur khud ko hudard mera btate ho....
2nd
puratan ko
nutan ho jane
do aur ho jane do
nutan ko snatan
mulyon ko ho jane
...do privartit sidhanton
adarshon ko fir
lakshyon mai dhal jane do
andhi dod mai andhadhund dodti
duniya ko fir se lot ke vapis aa jane do
mit jane do man ka krandan..............
3rd
naya asman
do,
do nayi chahya
do dua ke kuch pal
aur ghani chaya
......dard ko ahsas do
prem ko do urja
aur rite riste riston ko
fir thodi lgam do
do jra sa sukun
dhara ko thoda
hawayon ko vishram do
bnavati huee anubhuti ko
pardarshita ka man do
nutan hoga varsh mera
bas jra samman do
4th
naya varsh is bar kuch yun mnaya jaye
ki harne wale ko jeetne ka gur sikhaya jaye
ki gir gir ke hi so bar mil jati hai manzil
fir kyon na honslon ko badhaya jaye
yun to har rat ke bad aati hi hai bhor
...par kyon na is bar diya bhor ko dikaya jaye
yun to path padhte rahe hum yun hi taumer
is bar magar insaniyat ka path padhaya jaye
ruthte rahe yun to bahut jane kitni bar
is bar chalo un ruthon ko mnaya jaye
5th
kuch yun andaz vo apna dikhate hain
vfa karte hain hum vo bewafa btate hain
kaise btaye chahat ki kitni hai gahrai
dobo dena chahte hain hum unko chahton mai
aur vo hain ki ishq mai se par uter jate hain.....
No comments:
Post a Comment