Wednesday, February 23, 2011

चकर्व्युह है धरम का
तोड़ सके तो तोड़ 
बिखरे से समाज को इंसानियत से जोड़
सदियों से पीड़ित शोषित जो
बैठे है अंधेरों में ,शांत सी लहरों से मन को
इन्कलाब क़ि और मोड़  
बहुत  हुआ जुल्म सितम 
चुप्पी क़ि कड़ियाँ तोड़ के 
आक्रोश क़ि कड़ियाँ जोड़ 
मुठियों को भींच ले ,और इरादों को बुलंद कर
अधिकारों क़ि जंग है ,दौड़ सके तो दौड़ 
कुछ सपने 
कुछ यादें 
कुछ सुनहरी 
कुछ धुंधले 
कुछ अपने कुछ पराये 
आओ मिल कर रचें एक 
संपूरण संसार   
जहाँ न कोई पराया हो 
ना हो झूठा ,ना फरेबी का व्यव्हार 
ना कोई छीने रोटी किसी की
ना औरों का हक कोई मारे 
बस मुट्ठी भर ही काफी है 
मेरे लिए तुमाहरे वादें 

चकर्व्युह है धरम का
तोड़ सके तो तोड़ 
बिखरे से समाज को इंसानियत से जोड़
सदियों से पीड़ित शोषित जो
बैठे है अंधेरों में ,शांत सी लहरों से मन को
इन्कलाब क़ि और मोड़  
बहुत  हुआ जुल्म सितम 
चुप्पी क़ि कड़ियाँ तोड़ के 
आक्रोश क़ि कड़ियाँ जोड़ 
मुठियों को भींच ले ,और इरादों को बुलंद कर
अधिकारों क़ि जंग है ,दौड़ सके तो दौड़ 
वो मसीहा था ,या कोई पीर 
या था कोई पैगम्बर या कोई फ़कीर 
औरों के दुःख को जिसने अपना बनाया
समानता का अवसर था जिसने दिलाया 
दबे कुचलों को दी जिसने पहचान 
दे कर लाचारों को अधिकारों क़ि लाठी 
खुद पी कर गरल अपमान का, हमको सम्मान की सौगात  बांटी
आज उनको हमारी और से देते हैं हम ये आश्वासन 
जब तक साँस है लड़ेंगे हम भी आये कितने भी शोषण के शासन
उनके नाम पर आज हम लेते हैं संकल्प ,बिखरे बंटे समाज का करेंगे काया कल्प 
और तोड़ कर ही रहेंगे मिल कर ये जाती पाति की जंजीर 

वो मसीहा था ,या कोई पीर 
या था कोई पैगम्बर या कोई फ़कीर 
औरों के दुःख को जिसने अपना बनाया
समानता का अवसर था जिसने दिलाया 
दबे कुचलों को दी जिसने पहचान 
दे कर लाचारों को अधिकारों क़ि लाठी 
खुद पी कर गरल अपमान का, हमको सम्मान की सौगात  बांटी
आज उनको हमारी और से देते हैं हम ये आश्वासन 
जब तक साँस है लड़ेंगे हम भी आये कितने भी शोषण के शासन
उनके नाम पर आज हम लेते हैं संकल्प ,बिखरे बंटे समाज का करेंगे काया कल्प 
और तोड़ कर ही रहेंगे मिल कर ये जाती पाति की जंजीर 

Monday, February 21, 2011

kyon kahte ho
bhulun tumko
kyon na karun yad
tum ko hi to sopa jeewan
tumse kaisee fariyad?
tum ho aasha tum vishwas
tum hi to ho adhuri aas
fir kaisa jeewan bi tumahre
sambal ho ,ho,ahsas hamare
fir kaise bhulun ,kaise rokun
jab har pal har shan tum tumahri yad..






uth, srijan kar
vinash ke tam ko
badal dal kar de,path alokit
kar sanhar,mrit andh rudhiyon ka
kar dhanur tankar,kar fir vajer si hunkar
or ast vyast is dhara ka fir se nirman kar
tute astron ko jod fir ,arjun se anuragi man ko
fir se bana le karm sheel,or utter ja jiwan ran mai
vijay ko tu athhhas kar ,mrit hue smaj mai fir chetna ka agaj kar
gyan ke alok se bhar de tu har path jo nirjan........uth kar srijan...
eeraj nayan khoye se hain
kuch alsaye soye se hain
aturta hai,katarta hai
baras jane ki ,vyakulta hai
anmane se anjane se" ansoon"in mai boye se hain
kon jane kaisee hai trishna
jane kon si aasha hai
nayan hai bas kuch adheer khule se
kuch hanste kuch roye se hain...
na dar andheron se, ye pal bhi beet jayega
ugta hua suraj ,khud chal ke pass ayega
rakh honsla ,ki har ke aage hi jeet hai
girna ,aur fir sambhlna duniya ki reet hai
muthiyon ko jra band kar,badh do kadam aage
tere kadmon mai khuda khud hi sajde ko aayega
jo bhul chuke tujhko, unhe yad kya karna
tu chal to sahi karvan banta hi jayega

Saturday, February 19, 2011

bhrasht hai vaybhichari hain
kale dhan ki karte chor bazari hain
loot liya dhan or khoon hamara
bharat maa ki jai ka lgate hai nara
or karte bhakshan ka bantwara
kitne ghotalon ko kar ke, bante bebas anjan
loot mai hissa pate itna, sagar mai pani hai jitna
khoon chuus ka lacharon ka bharte rahe tijori
or tyag sab lah sharam ko karte seena jori
or khan kya sab ke sab lampat hai durachari hai.......




gujarte hue lamhon ne pucha
gujre hue lamhon se
ki kaise saha ,dard tumne,
kisko jakhm dikhaya,waqt ke nasur ko kaise tha dbaya
hame to apna dard btaye jisko nahi ..abhi tak mil paya
khud hi dhoya ghavon ko or khud hi hai sahlaya
muskura ke lamhon ne kara diya abhas
ki bant diya khud ko auron mai ,auron ka dard apnaya
apna kash bhul gye or auron ko path padhaya
dekha auron ka dard to apna kast adna sa nazer aaya



har pal 
har shan 
tumahri yad
tumahre chale jane ke bad
suna ghar suna angan
suna chand suni hai bhor
bol papihe or koyal ka lagta hai bas mujhko shor
shushk huee ankhain ro ro kar, khushk hua man tha jo vibhor
unghti si hai nidra dekho ,kati ankhon mai hi rat
bhor huee kab kyon or kaise nahi hua mujhko abhas
aab to mai hun or aks tumahra or hai bheeni bheeni yad...

about an hour ago ·


Friday, February 18, 2011

kuch yun jindgi ko bitaya hamne
kabhi ruth kar unse ,staya hamne
kah na paye kabhi vo dil ki bat
or kabhi haal apna na dikhaya hamne
vo chal diye, palat ke bhi na dekha
or sara aalam intzar mai 

ganwaya hamne  




chakervyuh hai
dharam ka
tod sake to tod
bikhre is smaj ko
insaniyat se jod
sadiyon se peedit
shoshit ,jan jan
ki awaz ko inqlab ki traf mod
ki hua bahut ab to zulm
sitam ki kadiyan tod ke
akrosh ki ladiyan jod
muthiyan bandh bhi le tu ab
or adhikar ki ladai mai dod sake to do





bapu ke 3 bandron ka kiya dekho kya haal
bura karne vala hi dekho paa raha samman
or bura sunne ko aatur bas hai man or praan
bure ko bura kahta jo bas pata vo apman
pata vo apman suno ye bat hamari
sach ab darta sachai se jhuth ka palda bhari
vo aaye khil uthi
dhara,khul gaye ganthe kaliyon ki
mahki hawa,itraya badal
taru bhi jhoome, bicha di palkain
taron ne chitka ke chandni
...bhor ne bhi faila diya chanchal dhoop ka anchal
itra ke chali aayi milne tum ko sanjh,
khol ghunghat badlon ka ghata bhi muskayi
sur se sur mila nadi ki lahrain bhi kuch gaye
vo jab aaye........
bahut hua ruthna manana
vo rula ke mujhe ansoon de jana
vo pal bhar mai tod dena umer bhar ka rishta
vo fir bhi intzar mai pahron smay bitana
vo mera jazbaton ko rok na pana
...or tumahra nam ankhon ko dekh ,vo khilkhilana
thehre se kadmon ko badhana na itna aage
ki mushkil na ho jaye kahin lot kar aana





2nd
vo duur humse jate chale gye
ham bhi hasraton ko badhate chale gya
ham ruthe to bhi na manana na aaya unko
or ham palkon ko yun hi bhigote chale gaye
socha ke chal diye to rok lenge vo aakar
or vo jid mai kadmon ko badhate chale gaye 





3rd
usne to diya bahut
par anchal mai hi na smaya
jo paya tha maine khwabon mai
use pal bhar mai hi ganwaya
usne to badha diya bas dene ko hath
mari hi muthi mai kuch sma na paya



sara akash
sari dharti
tumahri
or mera hissa
muthi bhar bhi nahi
dharam tumahra
karm tumahra
or mera hissa kuch bhi nahi
sparsh tumahra ahsas tumahra
gyan tumahra maan tumahra
or bas ye apman hamara
rang mai roop mai or akar mai
koi bhed nahi ,fir bhi abhimani tum
or swabhiman mai mera hissa kuch bhi nahi

mere shehar mai koi sota nahi hai
jami barf si hai ansun,par rota nahi hai
dard zakhmon ka hai ,par dikhaye kisko
yahan gair ke liye ankhon ko koi bhigota nahi hai
hai kam nahi kuch karne, ko fir bhi dodte hain
rishton ki jebon ko khud hi tatolte hain
waqt nahi fir bhi waqt bitaye nahi bite
fursat mai koi thahaka lagata yehan nahi hai
or bheed hain fir bhi tlashtain hai koi apna
apno ki fasal ab ye shehar bota nahi hai

Sunday, February 13, 2011

kisi ne kha ,sakar ho tum
kisi ne nirakar btaya
koi laya lakhon ka chadhawa
koi khali hath hi aaya
heere moti se sjaya kisi ne
to koi phoolon ke har hai laya
koi ghee ke deepak lata
koi bas dil ki lo hi jlata
kisi ne padhi namaz ,
to kisi ne shish nwaya
vo kahta hai ,bas ram hamara
or ye kahta bas aalaha hai pyara
ladte jhegadte rehe niranter
khoj na paye ,basa jo anter
jjisne bhi man ko kiya nirvikar
shudh man se kiya sweekar
usne usko sahej hi paya
kar liya roop sakar

badal barso
nav supt ankuron ko
fir se pran do
funko shankhnad apna
jad ko chetanta ka bhan do
...aasha se taktaki lgaye
tak rahe lachari se
thahare 2 se jeewan ko
fir thoda samman do
nanhe 2 shoshit ankur
taras rahe hain poshan ko
shoshan se mukti do
inko khul kar khilne ka man do
koi diwas aisa bhi manaya jaye
jismai insan ko smanta ka path padhaya jaye
dhul jaye jismai bhed sare,or prem ki rah par chalaya jaye
apna ho koi chahe ho praya ,galay sab ko lagaya jaye
dharam ho to bas manavta ka,or jati ho bas manav ki
or kisi ko kisi upnam se aise hi na bulaya jaye
na shoshit ho na shoshak ho,bas ek ho smaj ki paribhasha
bas khoye hue bhtkon ko sahi rah pe laya jaye
jo bhed kre insan mai or bante dard sitam aise har insan
ko bas suuli par tangaya jaye..............................

prem, ek bhawna hai
prem tyag hai
prem hai anubhuti
prem mai ek aag hai
prem hai sagar se gahra
...prem na jane koi pahra
prem urja hai prem hai sadbhawna
prem bhed se uper uth karta
bas bahujan hit ki kamna
prem bandhnon se uper
prem nishchil swachand hai
prem hai sohard or kavye ka koi chand hai
prem ishwar ki upasna ,dhyan hai vishwas hai
prem jisne paa liya ,huee puri uski aas hai

virah ko
kaise sahe
aatur pran
bahki si hawa
thehre to khan
......kis ko dikhaye
abhiman
kaise chupaye
aankhon ki peeda
kaise kre visarjan bhavon ka
or kaise bandhe shabon ki ladi mai
khud janun na murkh mai anjan
kaise kahun ki ab to tuta bandh saber ka
ki khada katghare,ab to mera samman

Friday, February 11, 2011

jab tak hai ek ankh mai ansun


jab tak dwesh hai ghrina hai


jati mai jab tak bta smaz hai


or nam hai man dukh bhari peeda hai


rota hai chehra ,or bhukh hai vyakulta hai


hai murjhaya sa man,or pane ki aturta hai


bolo mai muskaun kaise,geet khushi ke gaun kaise


vo tarse bas ek ko or khaun pet bher koi


bhukha hai jab tak vo bolo mai bhi khaun kaise


hath pasare vo lene ko ,or jholi bhar le koi


bolo najerandaj kar jaun kaise


vo unche mandir ko jaye,or ye seedhiyon par tarse


us ko fir kaise pujun mai,or inko bhulaun kaise


vo tarasta raha ek boond ko or koi amrit paye

raj badal dalo, kaj badal dalo
jo bandha ho rudhiyon se
vo smaj ,badal dalo
jo bhed se juda ho vo ,dharam hai kaisa
ho sake to dharam ki awaj badal dalo
...karta raha jo shoshan or arte rahe khud ka poshan
julm kiye kitne par uf na ki ab tak,ho sake to julm ka hisab badal dalo
vo suraj hi kya jo dar jaye andheron se, aise ugte suraj ka agaj badal dalo

aatur pran tum se hai
dil e nadan tum se hai
tamanna jwan tum se hai
armanon mai jan tum se hai
tum hi to ho lakshye mere
...sur ye tal tum se hai
jeewan ho tum, saans ho tum
man samman tum se hai
chandan tum ,to mai gandh mai teri
tum chando bhari kavita meri
geeton ki pahchan tum se hai..............
bahut hua shoshan
gairon ka poshan
jhuthan vo ,khana
or bojh uthana
vo nirvaster chonk mai
cheer haran,vo adhikaron ka apharan
vo dharam ki de duhai, jati ki pratadna
vo arakshan ke vyang ban ,vo chhu lene se mili yatna
hua bahut kahna ki yogye nahi tum,or harijan shabd ki ltadna
ab dekho maine bandh li muthi or rahin tum ko lalkar
samna karne ko har apman ka dekho ab mai hun taiyar
ki bahut hua tera kahna ,mera sun na,ab sun nad mera ,mera udghoshan........
mat pukaro
mujhe jati ,dharam se
insan hun ,bas jano mujhe karm se
khoon mera bhi tum jaisa hi laaal hai
fir kyon mai acchut raha janm se
mai bhi tum jaisa ,hain mere bhi roop tum sa
fir kyon gya pahchana mujhe sirf rang se
dharam ke thekedaron ne ,vanchit rakha mujh ko gyan se
fir kyon na mai khun unhe ki duub jao ab to sharm se
mai khadi dahleez par or vo unchai chad gya
mera huq mar vo balwan dekho ban gya
ki ab to hosh mai aa e adharmi,ya fir duub ja tu khin sharm se...
dekho mere bharat ne di kaisee mughe pahchan
chamde ki parakh khud karke, kahte mujhe chamar
ghrina ,dwesh, apman, pratadna,kya 2 na maine bhoga
soch ke ye bas chup raha mai,ki ant kabhi to hoga
par meri chupi,shantipriyta ko samjhe, ye meri kamjori
jitna gya jhelta mai, utne badhte gye atyachar
boya maine ,kata usne,mutthi bhar bas de kar mujhko
bharta raha bas apni tizori
pashu tulye samajh fir mujhko ,bar bar dutkara
kabhi achhut ,asprishye, dalit kabhi harijan kah pukara
kyon nahi hone dete mere karm se mera samman

Tuesday, February 8, 2011


ab to
utha do
parda ,or ruh se
mil jane do ruh ko
ho jane do
...nirakar ko sakar
or deh ko kar
do ,mukt har bandhan se
or kar do man ko nutan
ki bhatki hun bahut
mandir masjid kashi
aab to kra do , us alokik
roop ka didar,or mujhko
bhi do mukti, gyan ki annant shakti
 
 
 
2nd
 
na dil kisi ka yun dukhaya kro
kabhi man jao to ,kabhi mnaya kro
kahna to kisi ko kuch bhi,hota hai asan
kisi se kuch sunne ki himmat bhi jutaya kro
yun to faile ke jholi liya hai bahut tumne
...kabhi bantne ki niyat bhi dikhaya kro
ho na jaye khin bhor .yun hi chalte chalte
karmath ban kuch karm bhi kmaya kro.,...

hey prabhu
kon tum
kya hai tera roop
kya hai paribhasha
sakar ho ya nirakar
...ho suksm ,ya sathul
ho virat ya ho laghu
hai jyotirmay roop
ya ho andhiyara
ho dhara se ,ya ho nabh
jal ho ya mitti ho
dhwans ho ya srishti ho
kyon hain aanant naam tumahre
or bnaye kitne kyon tune thikane
kyon mere prashan par mon tum
gyan ke aage tuch hai dhan paisa or man
gyan ho to sahej hai pana koi bhi samman
ho sake to chhod ke maya ,sanchit kar le bas ye gyan
kyonki iske bina pashu tulay hai har insan...



2nd

aaturta hai
katarta hai
pyar hai,satkar hai
nain tere darshan ko bekrar hai,
ulghan hai suljhav hai
...bhangima hai bhav hai
vyakulta hai ,chanchalta hai
kuch pane ki lolupta hai
aab khun tujh se kya ankhon mai
tera hi intzar hai,
18 minutes ago

aao chalain
laghu se virat
andhkar se prakash
ant se srishti
andhta se drishi
......sukhe se vrishti
yatna se mukti
agyan se gyan
nirbalta se shakti
viral se sghan
dhara se gagan
agyan se gyan
apman se man
bhatkav se dheyan ki aur
ki khin ho na jaye
khin jeewan ki sanjh
rah kitni bhi kathin ho bhale
aao mila ke kadam chalain..........
See More

Sunday, February 6, 2011


chubhan dete ho
dikhate ho berukhi
tod ke bina kisi
ahat ke mera verchesv
puchte ho khan dard hai
...khud lehron ke sahare chhod kar naiya
puchte ho utroge kaise par
yogon tak salta rahega ye ban nasur hum ko
dekar jise ahsas ka naam jeete rahe hum
chot kha kar bhi kabhi uuf bhi na krenge hum
aab to teri aahat se hi ho jati mari aankhain nam......
 
 
 
na koi riwaj jane
na jane koi reet
na dekhe heeron ki chemak
na sune sikkon ki khenak
na mange khuda na jane koi peer
...mil jaye bas jisko sacha meet.
 
 
 
hey prabhu
na jane kon tum
nirakar ho
ya ho sakar
saghan ho
...ya viral
adrishay ho ya
ho sdrish
mrityu ho
ya ho moksh
moh ho ya ho maya
ho koi gehri dhoop tum
ya ho ki gahan
saya
dhun ho koi ansuni si
ya pehchana sa gaan ho
bujho to kya hai pehali
kyon mon ho ,na janu tum kon.... prabhu kon tum
See More
December 22, 2010 at 8:41pm · Privacy:Friends Only · ·
    •  
      hey prabhu
      na jane kon tum
      nirakar ho
      ya ho sakar
      saghan ho
      ...ya viral
      adrishay ho ya
      ho sdrish
      mrityu ho
      ya ho moksh
      moh ho ya ho maya
      ho koi gehri dhoop tum
      ya ho ki gahan
      saya
      dhun ho koi ansuni si
      ya pehchana sa gaan ho
      bujho to kya hai pehali
      kyon mon ho ,na janu tum kon.... prabhu kon tum
      See More
     
     
    prabhu itna mujhe sahas do
    ki jeet skun atma se dah ka dard
    ki mohpash se kar dun mukt khud ko
    ho jaun mritunjay sdrish ,indriyon ko viram dun
    na badle atma fir vester sa nashwan sharir
    ...ki khin ghul jayen mere pran tujh mai
    budh sarikhi ho paun tere hone ka gyan
    ki sun lun us anhad gan ko ho jaun purn
    moksh do kero janam mrityu se par
    ki paa ke tujh ko krun tujh ko sakar.....
    December 22, 2010 at 8:41pm · Privacy:Friends Only · ·
     
    pyar jherna hai
    fut ta hai jo bhavon se
    aur behta hai nishchal ,nirvirodh
    priya ke semmohan se bandha jal
    dur tak uchalti si umegon ki lehron par
    ...hokar swar umedte hain sanveg
    aur kar deta hai sab ko vibhor
    fir keh uthta hai aatur man bas isi
    mai jeena aur hai marna..aakhiir pyar jh......
     
     
     
     
     
    koi kaise khe ki dard hai kitna
    kitne hain ansoon pani hai kitna
    kaise btaye ki kyon ahat ,vyathit hai aur suvasit hai kitna
    prano mai fir se milne ki utsukta hai,aur man hetash hai kitna
    khone ko to behut tha khoya bhi maine ,par keh nahi payi paya hai kitna
    ...sukh ki ghadiyan to bas hain boond si ,bas dukh janti hun smuder jitna....
     
     
     
     
     
    koi kaise khe ki dard hai kitna
    kitne hain ansoon pani hai kitna
    kaise btaye ki kyon ahat ,vyathit hai aur suvasit hai kitna
    prano mai fir se milne ki utsukta hai,aur man hetash hai kitna
    khone ko to behut tha khoya bhi maine ,par keh nahi payi paya hai kitna
    ...sukh ki ghadiyan to bas hain boond si ,bas dukh janti hun smuder jitna....
     
     
     
     
    zindgi se pyar ki seekh le
    mil sake to bas neseehaton ki bheekh le
    kar buland iradon ko itna asman bhi
    jaye jhukh ,aur insaniyat khud aakar tum se seekh le
    kanteeli rahon mai phool mana behut hai kam
    ...jhel jhel apnon ki rusvayi mana aankhain hain nam
    fir bhee bedhta ja rah par bas rah apni theek le.........
     
     
     
     
     
    kon tum
    kon mai
    kya kroge jan kar
    mai hun mai aur tum bhi tum ho
    milna hua ye mankar
    ...ki khun ka nata nahi
    fir bhi dil mai ahsas hai
    na janu kon tum fir bhi rishta khas hai
     
     
     
     
    mai theke se kedmon se
    chali kshitij ki aur
    dekhna thehri hogi
    vahin khin bhor
    karti hogi intzar mere aane ka
    ...degi sehara ho jaungi jab thek ke chuur
    kar degi sunahri fir se mera jeewan
    ho jaungi har gam se fir duur
    taqat khud ban jayegi mari ye thekan
    sahi rah par fir mujhe dikayegi'
    jab bhi chalungi manzil milegi jerur mai theke
     
     
     
     
    tum kabhi dhoop
    kabhi chaya, kabhi ho
    dheema sa swar kabhi
    ho gehra sa saya'
    kabhi ho dard to kabhi ho muskan
    ...kabhi ho khoye se ,kabhi meri pehchan
    ho kabhi smuder se gehre kabhi jherne se chanchal
    kabhi ho bresne ko khojta dharti ko badal
    ho kabhi chand ko takta sa chekor
    aur kabhi lagte ho ek sunehri koi bhor
    kya khun sab mai dekha hai bas tera hi roop tum kabhi........

    jo hai jitna bhi hai jeewan mai,
    bas man se usko sweekar kro
    diyon ki roshni kam bhi ho to
    andheron se bhi pyar kro
    rah mai kante bahut hai mana
    ...kam hain khushiyan ye bhi jana
    par aasha ka daman tham kar
    bas nayi bhor ka intzar kro
    mana bahut hi uncha hai lakshye tumahre
    par honge poore khwab tumahre
    bas adarshon ki neev par tum satya ka mehal tyar kro
     
    pal pal
    bedalti hai roop
    sanjh ,jaise geru bikher
    diya ho badalon ne
    bna di ho rangoli
    ...asman mai le kar
    rang saptrangi inderdhanush se
    or sja diya ho rasta sitaron ka
    albeli dulhan si sanjh ne
    bas bikhar gya shringar huee jo halchal
     
    mari mala ke moti
    kuch yun bikhre
    ki manka 2 kho gya
    aur kacha dhaga rah gya
    dhaga bhi kya dhaga hai vo
    ...ganth bhera matmaila sa hai
    sari sajja nast ho gayi khali vo abhaga rah gaya

    gujer gaya
    1 aur pal
    tere intzar mai
    ki aa gaya patjhed
    khjte 2 tujh ko bahar mai
    ...kaise khun ki khoya kya
    aur kya hai paya
    khoja tujh ko haqiqat mai
    aur khwabon mai paya
    aab to bhor bhi trasti hai
    karne ko tera didar
    ki fir se sooni hai aankhain
    suna hua din gaya fir se dhal...........
     
     
    2nd
     
    jiyo zindgi kuch is andaz se
    ki har bat misal ban jaye
    gujar dain in pelon ko aise
    ki aane wale lamhain bhi bemisal ban jayain
    hon gam bhi to jeena rakhain hum yun jari
    ...ki mar bhi jayain to mot bhi kamal ban jayae
    na ho kar baith nirash mushkilon mai
    chal uth ke kar hunkar fir se
    tod de avishwas aur nirasha
    ki tera har krishma bas itihas ban jayeee
     
    4th
    aadmi ek
    aur annant
    hai ichain
    aur assemit
    hai sukh ki abhilasha
    ...hath hain do
    par dekar mutthi bhar
    bhar lena chahta hai jholi
    aankhain do hain par
    dekh lena chahta
    hai lakhhon rang birange sapne
    aur apne do pairon se
    chahta hai nap lena
    puri dharti ,asman
    trishnaon mai uljha
    bhul jata hai
    ki seemit hai zindgi ke pal
    or kya kho ke kya paa raha hai dekh.....aadmi ek..............
     
     
    kaste hain smajikta ki kesoti par dekhte hain tar 2 hoti asmita ka nezara aur thok kar peeth mardangi ki dete hain duhai ved puran ki aur har bar khadi kar dete hain kitne hi ram khadi sita ke samne fir vahi preeksha ki deewar aur khada dekhta rahta hai ye
     
     
    5th
    kiska sath
    kaisa sahara
    har koi nazar
    aata hai
    lachar bebas
    ...besahara
    rishta khoon
    ka ho gya pani
    sath dene ka jinka tha vada
    sat janmon tak
    vahi chend lmhon
    tak hote hain sath
    nari ki bebasi ka
    udate mazak cont.....
     
     
    sanghthan
    banta hai
    1 nahi do nahi
    hezaron hathon se
    fir kyon pnepta hai
    ...muthi bhar hathon mai
    hoti hai is ki dor



     
       
     
      
    jindgi ki dod mai
    itna na bedh jana
    ki bhul jao lot kar
    fir vapis bhi hai aana
    sikkon ki khanak ho
    ...to band kar lena
    apne kano ko
    ki khin kar de
    na tum ko behra
    bda zalim hai ye zmana
    sidhanton ki ldai hai
    ledna hoga akele
    bas manzil ko dekh
    kadamon ko bedhana


    andaz kuch yun badla humne apna
    vo semjhe ki khin pyar hua to nahi
    is kder ho gye bekhaber hum aise
    ki jaise khuli aankhon se dekha ho koi sapna




     

    kyon ho jate hain vahi is ke sirmor
    jo jante nahi paribhasha ghethan judav ki
    jo bandhna nahi bas jante hain todna
    aur karte hain kuch aur kahte hain jo kuch aurrrrr..........

    yun duub kar tere pyar
    mai dekha to paya
    ki khoya tha jo aab tak
    mil gya vo mujhe apna saya
    chupa ke dil mai rekha tha jo aaks tera
    ...jhanka jo jra aankhon mai nazer tuu hi aaya
    puchta hai aab to har koi dekho humse
    rehta hai tera chehre par noor ye kiska
    ye kiska rang se roshan hai kiski ye chaya.......
     
     
     
     
    vo bat kya krun jis mai tumahra jikar na ho
    ki bheed mai khede ho tum aur humari nazer na ho
    yun to nikalta hai chand dekho roj hi
    par ye kya chandni mai bhi humara jikar na ho
    yun to bahut dekhe hain din humne bhi suhane
    ...par tum ndard ho ki jismai aisa koi majar na ho
    yun to chal diye ki hum tay karna tha lamba rasta
    par tumahra sath na ho aisa koi safar na ho

    ho jane do bhor sunahri
    mit jane do tmas ka pehra
    bandh lene do nayi usha ko
    rasmiyon ka satrangi sehra
    sath chelange sang ravi ke
    ...faila denge apna ujiyara
    ghar 2 ko kar denge alokit
    hoga jhan bhi gehan andhiyara
    hone na denge aast kabhi hum
    umeedon ki ye bhor sunahri
    aao mil kar sath chelain fir
    us purab ki aur jhan karti hogi
    humari pretikksha 1 sunahri bhor

    jinke liye humne
    dil ko gwaya
    usi ne diya dard jise
    bhi apna bnaya
    sarthi sansar mai
    ...koi nahi apna
    ki pura kar ske jo
    chahat ka sapna
    rishton ke jal mai
    uljha sa man hai
    dhunti hun aab to
    khoya sa apna saya
     
     
     
    fir se kiya hai tera intzar kuch aise
    ki gulon gulshan ne bhi aaziz aa ke
    yun pucha ki itni basabri se usko
    khojte ho kyon, kha maine mera humdum
    humnashee hai ,tum se bhi khin haseen
    ...nazar aata hai khin vo..........
     
     
     
    vo dekar dard kuch yun'
    zakhmon ko sahlate hain
    ki jaise mere darde dil par
    namak ka marham lagate hain
    puchte hain fir ki hal e dil hai kaisa
    ...or kahte hain sitam hum un par
    kyon dhate hain
     
     
    kuch yun badla
    sa hai andaz unka
    ki ab to rutha
    sa har alam
    deta hai dikhai
    ...aur vo kahte hain
    fir bhi dekho pyar hai kahte
    dekar ulfat aur ruswai
     
     
     
    tumko
    kaise khojun
    khan dhundu
    tera parichay
    puchun kis se
    ...tari rah
    ki soona sa ye path
    khin le to jayega
    tari rah
    or milnatur
    mari nirjla huee
    aankhon ko dikhegi
    kya jhelak
    fir se tere adhure se pyar ki
    ki hona chahti hun sampuran
    chahti hun dhundna fir se
    chand ko tere kadmon ke sahare
    ki andhari mai khojun kaise dhundu
    See More
     
     
    hey prabhu
    kuch to aab gyan do
    meri ibadat ko
    aab to tum samman do
    bhatki hun bahut
    ...kashi kaba aur madina
    par khin na mila noor uska
    dekha us ka roop khin na
    meri is khoj ko aab to
    thoda maan do
    do adhuri si pehchan ko
    sampuranta, mere
    bhi itihas ko kuch
    vertman do.......

    ranzish kuch is treh tum dikhate ho
    khafa hote hain hum aur ruth tum jate ho
    jtate ho pyar bhi abhiman se
    or tukdon mai pyar jtate ho
    bas dete ho anubhuti dard bhari
    ...aur khud ko hudard mera btate ho....
     
    2nd
     
    puratan ko
    nutan ho jane
    do aur ho jane do
    nutan ko snatan
    mulyon ko ho jane
    ...do privartit sidhanton
    adarshon ko fir
    lakshyon mai dhal jane do
    andhi dod mai andhadhund dodti
    duniya ko fir se lot ke vapis aa jane do
    mit jane do man ka krandan..............
     
     
    3rd
     
    naya asman
    do,
    do nayi chahya
    do dua ke kuch pal
    aur ghani chaya
    ......dard ko ahsas do
    prem ko do urja
    aur rite riste riston ko
    fir thodi lgam do
    do jra sa sukun
    dhara ko thoda
    hawayon ko vishram do
    bnavati huee anubhuti ko
    pardarshita ka man do
    nutan hoga varsh mera
    bas jra samman do
     
    4th
     
    naya varsh is bar kuch yun mnaya jaye
    ki harne wale ko jeetne ka gur sikhaya jaye
    ki gir gir ke hi so bar mil jati hai manzil
    fir kyon na honslon ko badhaya jaye
    yun to har rat ke bad aati hi hai bhor
    ...par kyon na is bar diya bhor ko dikaya jaye
    yun to path padhte rahe hum yun hi taumer
    is bar magar insaniyat ka path padhaya jaye
    ruthte rahe yun to bahut jane kitni bar
    is bar chalo un ruthon ko mnaya jaye
     
    5th
     
    kuch yun andaz vo apna dikhate hain
    vfa karte hain hum vo bewafa btate hain
    kaise btaye chahat ki kitni hai gahrai
    dobo dena chahte hain hum unko chahton mai
    aur vo hain ki ishq mai se par uter jate hain.....

    kuch badla sa hai andaz unka
    kuch waqt ne rang dihaya hai
    barukhi se pesh aate hain vo jo the apne
    dushmani nibhata najer aata aab to apna bhi saya hai
    gunahon ki bheed hai gunahgar hain sab
    ...andhanukran ki dod mai khoye hain sab aise
    ki sukun ke chand lamhe tlasta farishta bhi nazer aaya hai......
     
     
     
    2nd
     
    kya yahi
    hai jeena
    ki jeete 2
    ras jab aane lagta hai
    jeena ,to
    ...achanak mot
    daker dastak
    dahla jati
    kampit kar jati hai
    mera nanha sa dil
    aur fir gujar jata
    hai ye jeewan usi
    mot ke intzar mai
    padta hai gam ka ghoont peena
    kya yahi hai.....

    farz yun to sabhi nibhate hain
    dukh ho dhunde koi milta hi nahi apna
    aur sukh ke lamhon mai sabhi sath nazer aate hain
    dekar meetha sa zeher chaplusi ka
    vo jo begane the kabhi ,apna ban ke dikhate hain
    ...mang lete hain aksma sab apne fir kiye ki
    jab mere hathon mai sikkon ki chamak pate hain.......

    kon kahta hai
    hum hai adhure
    mile jab se vo humse
    ho gye the hum usi din hi to pure
    unki hi bat humare andaz e byan mai dati hai dikhayi
    ...aur duniya hume aab unki ankhon mai or bhi haseen
    nazer aati hai

    kamyabi ki udan ko tham lo
    khin uda ke hi na le jaye tumahra swabhiman
    aur bher na de tum mai ahankar
    khin aur uncha udne ki firak mai
    tut na jaye pankh tumahri aashaon ke
    ...ki kho na jao khin aham ke andhkar mai
    rok lo tham lo ab to udan ki lgam ko

    jindgi bemisal
    hoti hai
    bas jeena lo
    seekh
    na bantne ko
    ...ho kuch pass
    to mango bhi
    na kisi se bheekh
    jitna ho pass
    use man kar ke kafi
    kro shukriya khuda ka
    kho jyada se bas mafi
    apnon aur prayon
    mai bas itna na ulajh jana
    ki ho jaye mushkil par
    is jhan se bhi jana
    sun kar sab ki bhi kro
    man ko jo lge theek
    ki khud bna ke chalo
    apni nayi leek

    agaz kro fir
    ek naye andaz ka
    ki badal jaye
    rukh tere anjam ka
    na dar tmas or ghani parchaiyon se
    ...utha ke shish jee bhi le ye jindgi
    ki bahut pee liya hai ghunt hai apman ka
    lalkar kar kahdo kar bhi do ab elan tum
    ki aaya waqt mere sir par bhi dekho taj ka.........
    kon khan se aata hai

    kon khan tak sath chela

    kis ne kis ka anchal pakda

    kon samay ke sath dhela

    kisko fursat hai jo soche

    kis ko kon sa hai ye gila

    hum ne to bus itna semjha

    yhan se bus itna hi seekha

    jisne us se nata joda

    us ko bus utna hi mila

    tum ho kon or mai kon hun

    kyon soche hum ye baten

    hum ne to bus itna jana

    us ko bus itna pehchana

    vo mujh mai or mai hun usme

    bus bna rehe ye silsila.........

    Phool ko to khilte dekha hai behut
    kanton ko jra khilao to janun
    apno ko apnana khan hai mushkil
    kisi gair ko apna benoa to janun
    khushiyon ko bantne ko mil jate hai behut sare
    ...kisi ke gamon ko bant ke dikao to janun
    or mout aaye to marte hain un to behut sare
    jindgi se mout ko harao to manun
    rahon mai un to mil jate hai musafir
    kabhi manzil ko sath chelao to janun

    andheri hai rah
    aur tam hai gehra
    hai tere ujalon par
    mana tmas ka pahra
    ho saghan kitna bhi
    ...tam ,par ek diya bas tu jla le
    kar alokit path ko apne
    man ko jyotirmay bna le
    rach naya itihas fir se
    mang na yun bheekh kisi se
    ban smarth prakashpunj sa
    khud apna suraj uga le
    bas muthi mai kar le
    tam ko aur faila de apni banh
    andheri.......................

    jindgi bemisal
    hoti hai
    bas jeena lo
    seekh
    na bantne ko
    ...ho kuch pass
    to mango bhi
    na kisi se bheekh
    jitna ho pass
    use man kar ke kafi
    kro shukriya khuda ka
    kho jyada se bas mafi
    apnon aur prayon
    mai bas itna na ulajh jana
    ki ho jaye mushkil par
    is jhan se bhi jana
    sun kar sab ki bhi kro
    man ko jo lge theek
    ki khud bna ke chalo
    apni nayi leek

    January 12 at 2:25pm · Privacy:Friends Only

    hwa kuch bheeni
    si mehak le aayi
    tere aane ki intzar mai
    kate the jo din
    vahi tere aane ki
    ...khaber le aayi
    mahki si kali khol ke pankhe
    tak rahi hai tari rah
    nav pallav or puspon ne bhi
    bicha di dekho palkain apni
    aur sunahri bhor sja ke thali
    le kumkum ugte suraj ka
    ho gayi fir se tyar
    panchi bhi rahe hain dekho
    fir chehak jab se layi hwa tumahri mehak...........
    See More

    jab tak hai ek ankh mai ansoo
    mai kaise muskaun
    krandan ho gar gher 2 mai
    to kaise khushi manaun
    kaise krun mai ghar ko roshan
    ...diyon ki lambi kataron main
    jab ho andhiyara mere
    shehar ke kuch ghar aur galiyaron main
    padha ho jo koi marsiya
    to kaise geet mai gaun
    matam ho aur jage gar koi
    to kaise fir gehan nidra mai mai kaise
    so jaun.........

    khol do jherokhon ko
    or aane do thandi byar
    khol lo kpat man ka
    ki aa sake fir se behar
    mulyon sidhanton ko
    ...yun na apne dil se modo
    jodo fir se adarshon ko apne
    mat baitho hokar lachar
    na daro andhkar se yun
    aaygi bhor kro intzar

    jab tak hai ek ankh mai ansoo
    mai kaise muskaun
    krandan ho gar gher 2 mai
    to kaise khushi manaun
    kaise krun mai ghar ko roshan
    ...diyon ki lambi kataron main
    jab ho andhiyara mere
    shehar ke kuch ghar aur galiyaron main
    padha ho jo koi marsiya
    to kaise geet mai gaun
    matam ho aur jage gar koi
    to kaise fir gehan nidra mai mai kaise
    so jaun.........

    kuch ne srahe geet mere
    kuch ne bisraye
    kuch ne kha ki dard bhare hain
    to kuch ko rangon bhere nazer aaye
    dekha kisi ne bhavon ka rang
    ...to kisi ko dikha mera avishwas
    kisi ne puche aaye khan se ansoon
    itna dard khan se paya
    kaise khun kya dard btaun
    apna dard to seh bhi leti
    kaise auron ka dard dikhaun
    khun kaise ye geet nahi
    ye to hai bas dukh mere tere......

    na kahu se dosti mari na kisi se bair
    na hi koi sga sambandhi aur na hi koi gair
    manavta se bandhan mera aur insaniyat se nata
    jati dharm aur sampradaye se judna mujhko nahi hai bhata
    na hi kisi se dwesh hai mera na kisi se moh hai gehra
    ...na hi dhan dolat ko jod kar karti hun mai us ka pahra
    mai to fakkad fakeer si hokar bas mangun sab ki khair
    na khau se............

    agaz kro fir
    ek naye andaz ka
    ki badal jaye
    rukh tere anjam ka
    na dar tmas or ghani parchaiyon se
    ...utha ke shish jee bhi le ye jindgi
    ki bahut pee liya hai ghunt hai apman ka
    lalkar kar kahdo kar bhi do ab elan tum
    ki aaya waqt mere sir par bhi dekho taj ka.........

    jindgi ki dod hai dod sakey to dod
    fir na hath aayega, peeche aaye jo chhod
    waqt hai thoda ,aur kam hai jyada
    ho sake to btor le umeedon aasha ka khazana
    na lga yun, khel aise daav ki jindgi ko na smajh yun ghud dod
    ...ghata kar de paap ka lekha jokha or adarshon mulyon ka kar le jod
    ki moti ho jayga har lamha or heeron sa hoga jeewan bejod.....

    dekh lo mari udan


    dekh lo mari udan
    kar do kitna bhi uncha asman
    dheere 2 hi sahi pahunch jaungi
    chhu lungi us vyom ko
    jo kar raha hai mujh se hod
    ...par nahi sakta mare iradon ko mod
    har seema ko tod mai lungi fir se pankhon ko jod
    or dungi hathi vyom ko rukh bhi mod
    ki buland hain irade mare or uljhnon mai bhi
    bani rehagi ye mari muskan
    dekh lo.....

    nar ho na nirash kro man
    chahe ho bhi jaye bojhil ye tan
    ghor ho chahe kitna bhi andhera
    ho apman or vitrishna ka ghera
    ban kar khud dhal apni
    ...jeewan ran ko fir lalkar do
    or hare se kadmon ko fir nya rakt sanchar do
    ki kah do har ko ab bari hai mari jeetkar dikhaungi har ran.....

    na ja
    us or
    ki chalawa ,hai bhulawa hai
    or hai jhuthe jazbaton ki dor
    bhakav hai mrichika sa
    ...khel hai ye pal do pal ka
    dega tujhko dard vahi
    jo aaz lagta tujhko sirmor hai
    lot aa ki tujhko bulate
    aaz bhi aadarsh tere
    aur johte bat tari,hain tere sidhant bhi
    ki ,is se pahle lut jaye tu ,kho na jaye bheed mai
    aao fir se lot chale ek nayi bhor ki or.....
    r hai

    koi sahara
    koi dard staye
    to lot aana
    hatash ho man
    or bojhil ho tan
    ...to lot aana
    aham ho dambh ho
    or ho avsad to
    or sujhe aur na kuch
    to lot aana
    bheed ho ,aur koi sath na de
    ho jao gar tum akele
    aur tuti si aas ho
    to lot aana
    koi ho na sath apna
    or rone ko jo man ho
    or yad mari jo staye to
    lot aana.....
    jindgi kuch yun hum bitate chale gaye
    kabhi vo ruthe hum se kabhi hum mnate chale gaye
    dard tha ya yadain thee tari ,hum to bas ansoon bahate chale gaye
    duur thi manzil mari or thake se the kadam
    fir bhi dene sath tera kandhon ko milate chale gaye
    zakhm to gehre the par fir bhi hum ko aas thi
    aur tere aane ki dhun mai see ke apne hothon ko
    seekh liya humne bhi dekho apne gam ko bhi hai pina
    or bekhaber se tum bas dil ko state chale gaye
    jindgi hum....

    aao chale fir ,milkar sath
    ek nayi bhor ki or
    ki jhan na ho
    sankeernta,na jati dharam ka shor
    ekjut sa ho jhan smaj ho na ghrina or dwesh
    ...aur jhan girgit ki treh koi na dikhe chadam vesh
    rang roop akar or koi na puche tari jaat
    or jhan insaniyat ho or pedhe bas sohard ka path
    or aadar sarvdharm ka ho na koi nafrat ki bat
    aao....

    jisne sikha dard ko sahna,jisne auron ka dard seha
    jo jiya auron ki khatir ,jiske dil mai pyar reha
    apne or prayon mai jisne bhed kabhi na mana
    kiski masjid ,kiska mandir ,bhed na koi jana
    jisne sache man se uske astitav ko mana
    ...man mai mil gya use ,us andekhe khuda ka thikana
    jisne liya dhal samay ko chahe jo bas sab ka bhala

    tum kabhi dhoop
    kabhi chaya, kabhi ho
    dheema sa swar kabhi
    ho gehra sa saya'
    kabhi ho dard to kabhi ho muskan
    ...kabhi ho khoye se ,kabhi meri pehchan
    ho kabhi smuder se gehre kabhi jherne se chanchal
    kabhi ho bresne ko khojta dharti ko badal
    ho kabhi chand ko takta sa chekor
    aur kabhi lagte ho ek sunehri koi bhor
    kya khun sab mai dekha hai bas tera hi roop tum kabhi........

    manu ne jo likha tha kabhi anjane mai
    zmana lgega us ko bhulane mai
    pratadit manvta ko karta aa raha uska vidhan
    apne hi desh mai dekho koi rah reha ban kar mahman
    de rehe muthi bhar hain jo ,ghrina or apman
    ...unko jo yugon se nirmata rehe, fir bhi na mila jinko man
    loot liya jinko samaj ke thekedaron ne
    or sewa ki thama di tokri ,hukumat ke gaddaron ne
    or kar diya usko ban fir daliton ke tahkhane mai.

    yad karo
    is gantanter par
    us ko jisne
    khud saha dard aur
    asmanta ka apman
    ...par diya hum ko
    smanta ka samman
    racha jisne sanvidhan
    bnaya bharat ke loktanter ko
    pure vishv mai mahan
    usko yad krain hum
    charno mai shish navayain
    baba ko fir karke yad hum
    shredha ke phool chdhain

    jeena kya ?
    kya mar jana?
    kab ho kya ho?
    kaisa thikana?
    jindgi par bhari
    ...padti hai mot
    ghut 2 kar bina jiye
    hi padta hai mar jana
    muthi mai band lamhe
    ret ki treh dheere se
    fisal jate hain
    fir kaise kahain
    safar hai ye suhana

    mai badal
    nahi jo mod le
    rukh hwa ke sath
    na dal hun taru ki
    lahraye jo bas hwa ke sath
    ...na diya hun vo jo
    bujh jaye tufanon mai
    na naan hun vo jo
    duub jaye gehre ufanon mai
    tuta khwab nahi jo
    dab jaye jo dabane se
    andhkar nahi jo dar jaye
    roshni ke maykhano se
    mai to hun vo bhor sunahri
    liye hai jo hazaron hath
    mai badal nahi......

    aadmi ek
    aur annant
    hai ichain
    aur assemit
    hai sukh ki abhilasha
    ......hath hain do
    par dekar mutthi bhar
    bhar lena chahta hai jholi
    aankhain do hain par
    dekh lena chahta
    hai lakhhon rang birange sapne
    aur apne do pairon se
    chahta hai nap lena
    puri dharti ,asman
    trishnaon mai uljha
    bhul jata hai
    ki seemit hai zindgi ke pal
    or kya kho ke kya paa raha hai dekh.....aadmi ek

    yun duub kar tere pyar
    mai dekha to paya
    ki khoya tha jo aab tak
    mil gya vo mujhe apna saya
    chupa ke dil mai rekha tha jo aaks tera
    ......jhanka jo jra aankhon mai nazer tuu hi aaya
    puchta hai aab to har koi dekho humse
    rehta hai tera chehre par noor ye kiska
    ye kiska rang se roshan hai kiski ye chaya
    na koi teer hain na koi talwar hain
    bas gyan prem sadbhawna ke pass mai hathiyar hain
    auur ladne hun chali mai dwesh sampardyikta se
    ki jiske age aaz babas aur hum lachar hain
    jmeen ko to bant diya ,nakshon mai lakeeron mai
    aaz dekho bantne ko hinsa dwesh aur adharm
    kar rahan hum fir se dekho foot ka dhancha tyar hain
    dhokha de kar atyachari ban baitha desh ka dhani
    aur vahi aaj karta desh prem ka prechar hai
    loot liya chain sabka bhar faila ke dekho bhreshtachar
    le ke beej nafreton ke au,r sapardyikta ki khad
    fir bone ko fasal vaimnasye ki tyar hai
    par ye na samjho mon hun mai tum na jano kon hun mai
    lalkarne ko unko aab mai le ke apne sidhant ki dhal
    mukabla karne ko sangthit hath ye tyar hain